ai ham-safir talKHi-e-tarz-e-bayan na chhoD
ai ham-safīr talḳhī-e-tarz-e-bayāñ na chhoḌ
tū gāliyāñ diye jā hameñ gāliyāñ na chhoḌ
vā'iz butoñ ke chāh-e-zaqan kā bayāñ na chhoḌ
varna kahīñ na pā.egā paanī kuaañ na chhoḌ
pahuñchā de makr-o-kaid ko hadd-e-kamāl tak
ai dost nā-tamām koī dāstāñ na chhoḌ
in rahbarān-e-qaum se yā-rab bachā mujhe
char leñgī sab chaman mirā ye bakriyāñ na chhoḌ
phūloñ se bhar sake na agar dāman-e-havas
sehn-e-chaman kī ghaas bhī ai bāġhbāñ na chhoḌ
be-vasvasa ġharīboñ pe bhī haath saaf kar
mil jaa.eñ to javār kī bhī roTiyāñ na chhoḌ
dīvānoñ ke to jaib o girebāñ kā zikr kyā
gar dhajjiyāñ bhī haath lageñ mehrbāñ na chhoḌ
insāniyat meñ baaqī hai saffāk dam abhī
ik haath kas ke aur use nīm-jāñ na chhoḌ
zālim usī ne naak meñ dam kar diyā tirā
ragḌe jā ḳhuub gardan-e-amn-o-amāñ na chhoḌ
ab zulm meñ izāfa na kar bānī-e-jafā
qasr-e-sitam ke aage koī sā.ebāñ na chhoḌ
ranj-o-alam kā zā.iqa ik roz tū bhī chakh
ye ḳhaas jaunpur kī tū mūliyāñ na chhoḌ
ai 'shauq' ye jafā.eñ haiñ kyā ye sitam haiñ kyā
har imtihāñ meñ baiTh koī imtihāñ na chhoḌ
ai ham-safir talKHi-e-tarz-e-bayan na chhoD
tu galiyan diye ja hamein galiyan na chhoD
wa'iz buton ke chah-e-zaqan ka bayan na chhoD
warna kahin na paega pani kuan na chhoD
pahuncha de makr-o-kaid ko hadd-e-kamal tak
ai dost na-tamam koi dastan na chhoD
in rahbaran-e-qaum se ya-rab bacha mujhe
char lengi sab chaman mera ye bakriyan na chhoD
phulon se bhar sake na agar daman-e-hawas
sehn-e-chaman ki ghas bhi ai baghban na chhoD
be-waswasa gharibon pe bhi hath saf kar
mil jaen to jawar ki bhi roTiyan na chhoD
diwanon ke to jaib o gireban ka zikr kya
gar dhajjiyan bhi hath lagen mehrban na chhoD
insaniyat mein baqi hai saffak dam abhi
ek hath kas ke aur use nim-jaan na chhoD
zalim usi ne nak mein dam kar diya tera
ragDe ja KHub gardan-e-amn-o-aman na chhoD
ab zulm mein izafa na kar bani-e-jafa
qasr-e-sitam ke aage koi saeban na chhoD
ranj-o-alam ka zaiqa ek roz tu bhi chakh
ye KHas jaunpur ki tu muliyan na chhoD
ai 'shauq' ye jafaen hain kya ye sitam hain kya
har imtihan mein baiTh koi imtihan na chhoD
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.