ai hawao! mujhe daman mein chhupa le jao
ai havāo! mujhe dāman meñ chhupā le jaao
zard pata huuñ maiñ āhista uThā le jaao
sar chhupāne mirī kuTiyā meñ chale aanā tum
agar is ūñchī havelī se nikāle jaao
phuul murjhāte haiñ alfāz nahīñ murjhāte
duur jaanā hai buzurgoñ kī duā le jaao
zindagī shāḳh-e-gul-e-tar na sahī bojh sahī
girtī dīvār sahī phir bhī sambhāle jaao
tund maujoñ kī tarah aaj purānī yādo!
kashti-e-dil ko kahīñ duur bahā le jaao
dard ban jā.egā ḳhud aap hī darmāñ 'shaidā'
talḳhī-e-zīst ko ash.ār meñ Dhāle jaao
ai hawao! mujhe daman mein chhupa le jao
zard pata hun main aahista uTha le jao
sar chhupane meri kuTiya mein chale aana tum
agar is unchi haweli se nikale jao
phul murjhate hain alfaz nahin murjhate
dur jaana hai buzurgon ki dua le jao
zindagi shaKH-e-gul-e-tar na sahi bojh sahi
girti diwar sahi phir bhi sambhaale jao
tund maujon ki tarah aaj purani yaado!
kashti-e-dil ko kahin dur baha le jao
dard ban jaega KHud aap hi darman 'shaida'
talKHi-e-zist ko ashaar mein Dhaale jao
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 441)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.