ai hijr-e-na-tamam masail samajh zara
ai hijr-e-nā-tamām masā.il samajh zarā
ai ‘ishq-e-jāvedāñ tū vasā.il samajh zarā
ḳhairāt-e-husn baañT tū jalva dikhā mujhe
ai misl-e-gul tū hālat-e-sā.il samajh zarā
mujh se kabhī na hogī pazīrā.ī hijr kī
mere bahut se aur haiñ masā.il samajh zarā
dahlīz-e-husn par khaḌā huuñ dil-figār maiñ
kār-e-vafā hai raste meñ haa.il samajh zarā
yuuñ ham se ho na paayā ye 'ahd-e-vafā vafā
ghar meñ thā bas 'ahad' hī to 'aa.il samajh zarā
ai hijr-e-na-tamam masail samajh zara
ai ‘ishq-e-jawedan tu wasail samajh zara
KHairaat-e-husn banT tu jalwa dikha mujhe
ai misl-e-gul tu haalat-e-sail samajh zara
mujh se kabhi na hogi pazirai hijr ki
mere bahut se aur hain masail samajh zara
dahliz-e-husn par khaDa hun dil-figar main
kar-e-wafa hai raste mein hail samajh zara
yun hum se ho na paya ye 'ahd-e-wafa wafa
ghar mein tha bas 'ahad' hi to 'ail samajh zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.