ai husn-e-azal teri kya shan nirali hai
ai husn-e-azal terī kyā shaan nirālī hai
dekhā to jalālī hai samjhā to jalālī hai
hai zarf ye jo aalī mansab bhī vo aalī hai
bhar degā mirā saaqī paimāna jo ḳhālī hai
duniyā-e-mohabbat meñ kyā koī duā lī hai
tum ne kisī āshiq kī hasrat bhī nikālī hai
rahtā hai ye jis dhun meñ duniyā se nirālī hai
dīvāna mohabbat kā ik mard-e-ḳhayālī hai
sūrat sī badal dī hai kuchh naqsh-e-mohabbat ne
tasvīr tirī ham ne ab dil meñ jamā lī hai
huuñ zabt-e-mohabbat kā ḳhūgar to magar aksar
machlī hai tabī.at to mushkil se sañbhālī hai
rasm-o-rah-e-hastī kā pāband nahīñ āshiq
kahte haiñ junūñ jis ko āzād-ḳhayālī hai
tahzīb se fāriġh hai ab mard-e-ḳharābātī
ta.amīr karegā phir buniyād to Daalī hai
ik vahshat-e-hastī hai dhandā mujhe duniyā kā
kuchh dhuul uḌānī hai kuchh dhuul uḌā lī hai
paa.ī hai nazar ham ne saaqī kī ināyat kī
uqbā bhī banā leñge duniyā to banā lī hai
hai gird tamāshā sā ik ġhol-e-bayābāñ kā
sahrā meñ bhī ham ne to bastī sī basā lī hai
andāz-e-bayāñ tū ne sīkhā ye nayā 'shākir'
ab tarz-e-nigārish meñ āzād-ḳhayālī hai
ai husn-e-azal teri kya shan nirali hai
dekha to jalali hai samjha to jalali hai
hai zarf ye jo aali mansab bhi wo aali hai
bhar dega mera saqi paimana jo KHali hai
duniya-e-mohabbat mein kya koi dua li hai
tum ne kisi aashiq ki hasrat bhi nikali hai
rahta hai ye jis dhun mein duniya se nirali hai
diwana mohabbat ka ek mard-e-KHayali hai
surat si badal di hai kuchh naqsh-e-mohabbat ne
taswir teri hum ne ab dil mein jama li hai
hun zabt-e-mohabbat ka KHugar to magar aksar
machli hai tabiat to mushkil se sanbhaali hai
rasm-o-rah-e-hasti ka paband nahin aashiq
kahte hain junun jis ko aazad-KHayali hai
tahzib se farigh hai ab mard-e-KHarabaati
tamir karega phir buniyaad to Dali hai
ek wahshat-e-hasti hai dhanda mujhe duniya ka
kuchh dhul uDani hai kuchh dhul uDa li hai
pai hai nazar hum ne saqi ki inayat ki
uqba bhi bana lenge duniya to bana li hai
hai gird tamasha sa ek ghol-e-bayaban ka
sahra mein bhi hum ne to basti si basa li hai
andaz-e-bayan tu ne sikha ye naya 'shakir'
ab tarz-e-nigarish mein aazad-KHayali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.