ai husn-e-KHush-sifat mere sath sath chal
ai husn-e-ḳhush-sifāt mire saath saath chal
karnī hai tujh se baat mire saath saath chal
sāhil kī bhīgī ret pe kuchh duur nange paañv
hāthoñ meñ Daale haath mire saath saath chal
ik shab guzārnī hai ġhazal ke dayār meñ
sham.a-e-tasavvurāt mire saath saath chal
sūraj to e'tibār ke qābil nahīñ rahā
ai pūrnimā kī raat mire saath saath chal
har shaḳhs vāsnā kā pujārī hai shahr meñ
kamsin hai terī zaat mire saath saath chal
kab se maiñ kar rahā huuñ tire dar pe iltijā
ab maan bhī jā baat mire saath saath chal
le jā rahe haiñ log mujhe qabr-gāh meñ
aa vājib-uz-zakāt mire saath saath chal
'hasrat' ibādatoñ ke tasavvuf meñ ho ke gum
ka.abe se somnāt mere saath saath chal
ai husn-e-KHush-sifat mere sath sath chal
karni hai tujh se baat mere sath sath chal
sahil ki bhigi ret pe kuchh dur nange panw
hathon mein Dale hath mere sath sath chal
ek shab guzarni hai ghazal ke dayar mein
shama-e-tasawwuraat mere sath sath chal
suraj to e'tibar ke qabil nahin raha
ai purnima ki raat mere sath sath chal
har shaKHs wasna ka pujari hai shahr mein
kamsin hai teri zat mere sath sath chal
kab se main kar raha hun tere dar pe iltija
ab man bhi ja baat mere sath sath chal
le ja rahe hain log mujhe qabr-gah mein
aa wajib-uz-zakat mere sath sath chal
'hasrat' ibaadaton ke tasawwuf mein ho ke gum
kabe se somnat mere sath sath chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.