ai ibn-e-iztirab dil-e-na-subur sabr
ai ibn-e-iztirāb dil-e-nā-subūr sabr
taklīf meñ hai bā.is-e-kaif-o-surūr sabr
chhaT kar rahegī tīrgī ik din gurez kī
phūTegā iltifāt-o-mohabbat kā nuur sabr
āñkhoñ meñ tairte haiñ abhī tak ka.ī hurūf
likkhā thā us ne ashk se bainassutūr sabr
maiñ kyā karūñ ki tum ko na ho barhamī kabhī
kis tarah dil ko aa.e tumhāre huzūr sabr
tum se thā duur duur to sābir thā saḳht thā
shīshe kī tarah pal meñ huā chuur chuur sabr
donoñ hī e'tidāl pe 'rāġhib' na rah sake
thā merā iztirāb to un kā qusūr sabr
ai ibn-e-iztirab dil-e-na-subur sabr
taklif mein hai bais-e-kaif-o-surur sabr
chhaT kar rahegi tirgi ek din gurez ki
phuTega iltifat-o-mohabbat ka nur sabr
aankhon mein tairte hain abhi tak kai huruf
likkha tha us ne ashk se bainassutur sabr
main kya karun ki tum ko na ho barhami kabhi
kis tarah dil ko aae tumhaare huzur sabr
tum se tha dur dur to sabir tha saKHt tha
shishe ki tarah pal mein hua chur chur sabr
donon hi e'tidal pe 'raghib' na rah sake
tha mera iztirab to un ka qusur sabr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.