ai ins KHalifa hai tu KHaqan nahin hai
ai ins ḳhalīfa hai tū ḳhāqān nahīñ hai
tū mezbāñ hai arz pe mehmān nahīñ hai
ye baat bhī hai sach ki ġhalat tarz-e-amal se
duniyā meñ tirā jiinā ab āsān nahīñ hai
kyā fā.eda hai duniyā kamāne kā ai nādāñ
Tal jaa.e ajal ye bhī to imkān nahīñ hai
māhaul banā pyār-o-uḳhuvvat kā zamīñ par
tū a.alā bashar hai koī shaitān nahīñ hai
terā nahīñ sheva hai adākārī samajh le
ai ḳhāKī numā.ish kā tū sāmān nahīñ hai
paḌh likh ke 'm'āle' tū banā apnā muqaddar
hākim hai haqīqat meñ tū darbān nahīñ hai
ai ins KHalifa hai tu KHaqan nahin hai
tu mezban hai arz pe mehman nahin hai
ye baat bhi hai sach ki ghalat tarz-e-amal se
duniya mein tera jina ab aasan nahin hai
kya faeda hai duniya kamane ka ai nadan
Tal jae ajal ye bhi to imkan nahin hai
mahaul bana pyar-o-uKHuwwat ka zamin par
tu aala bashar hai koi shaitan nahin hai
tera nahin shewa hai adakari samajh le
ai KHaKi numaish ka tu saman nahin hai
paDh likh ke 'm'ale' tu bana apna muqaddar
hakim hai haqiqat mein tu darban nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.