ai ishq shad-kaam hun tere shuur se
ai ishq shad-kaam hun tere shuur se
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
ai ishq shād-kām huuñ tere shu.ūr se
mujh ko gila nahīñ hai kisī ke ġhurūr se
ye intihā-e-hosh hai aage ḳhabar nahīñ
āvāz de rahā thā koī mujh ko duur se
qatre kī kyā bisāt patā bhī nahīñ chalā
ik mauj uTh ke rah ga.ī dariyā-e-nūr se
detā rahe zamāna fareb-e-nashāt ab
sar-ḳhush haiñ ham to bāda-e-ġham ke surūr se
qurbān terī nīm-nigāhī ke dekh phir
aatī hai mujh ko bū-e-mohabbat ġhurūr se
ai barq-e-husn izn-e-tamāshā kabhī hameñ
muusā nahīñ jo lauT ke aa jaa.eñ tuur se
ye husn ye shabāb ye ma.asūmī-e-jamāl
tum daad lo ḳhudā kī qasam jā ke huur se
kambaḳht us ne aur bhī majbūr kar diyā
baaz aa.e ham ilāhī dil-e-nā-subūr se
'fā.iq' mire mazāq meñ be-mā.egī sahī
dād-e-suḳhan-talab huuñ magar zī-shu.ūr se
ai ishq shad-kaam hun tere shuur se
mujh ko gila nahin hai kisi ke ghurur se
ye intiha-e-hosh hai aage KHabar nahin
aawaz de raha tha koi mujh ko dur se
qatre ki kya bisat pata bhi nahin chala
ek mauj uTh ke rah gai dariya-e-nur se
deta rahe zamana fareb-e-nashat ab
sar-KHush hain hum to baada-e-gham ke surur se
qurban teri nim-nigahi ke dekh phir
aati hai mujh ko bu-e-mohabbat ghurur se
ai barq-e-husn izn-e-tamasha kabhi hamein
musa nahin jo lauT ke aa jaen tur se
ye husn ye shabab ye masumi-e-jamal
tum dad lo KHuda ki qasam ja ke hur se
kambaKHt us ne aur bhi majbur kar diya
baz aae hum ilahi dil-e-na-subur se
'faiq' mere mazaq mein be-maegi sahi
dad-e-suKHan-talab hun magar zi-shuur se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.