ai junun-e-bandagi-e-shauq ye kya kar diya
ai junūn-e-bandagī-e-shauq ye kyā kar diyā
un ke dhoke meñ na jaane kis ko sajda kar diyā
ḳhud unhoñ ne apnā rāz-e-husn afshā kar diyā
jis taraf bhī aañkh uThā.ī hashr barpā kar diyā
kaash vo ġham tā-abad dil par rahe sāya-fagan
jis ne dil ko be-niyāz-e-dīn-o-duniyā kar diyā
tum hī socho 'kaif' ab kis kā ho mujh ko e'tibār
ḳhud mirī āñkhoñ ne merā raaz afshā kar diyā
ai junun-e-bandagi-e-shauq ye kya kar diya
un ke dhoke mein na jaane kis ko sajda kar diya
KHud unhon ne apna raaz-e-husn afsha kar diya
jis taraf bhi aankh uThai hashr barpa kar diya
kash wo gham ta-abad dil par rahe saya-fagan
jis ne dil ko be-niyaz-e-din-o-duniya kar diya
tum hi socho 'kaif' ab kis ka ho mujh ko e'tibar
KHud meri aankhon ne mera raaz afsha kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.