ai kaenat tere sahaare hamin to hain
ai kā.enāt tere sahāre hamīñ to haiñ
tere nazar-navāz ishāre hamīñ to haiñ
amvāj-e-husn-o-ishq kā irfāñ hamīñ se hai
dariyā-e-zindagī ke kināre hamīñ to haiñ
tūfān-e-hādsāt ke ḳhāliq tumhīñ to ho
tūfān jin ko paar utāre hamīñ to haiñ
ham se sivā hayāt ko samjhegā aur kaun
un kī navāzishāt ke maare hamīñ to haiñ
ye aur baat hai ki tumheñ ilm hī nahīñ
varna bhare jahāñ meñ tumhāre hamīñ to haiñ
duniyā-e-zindagī kā nazāra kareñ to kyā
duniyā-e-zindagī ke nazāre hamīñ to haiñ
'parvez' shā.irī kī harārat hamīñ se hai
ilm-o-adab ke shoḳh sharāre hamīñ to haiñ
ai kaenat tere sahaare hamin to hain
tere nazar-nawaz ishaare hamin to hain
amwaj-e-husn-o-ishq ka irfan hamin se hai
dariya-e-zindagi ke kinare hamin to hain
tufan-e-hadsat ke KHaliq tumhin to ho
tufan jin ko par utare hamin to hain
hum se siwa hayat ko samjhega aur kaun
un ki nawazishat ke mare hamin to hain
ye aur baat hai ki tumhein ilm hi nahin
warna bhare jahan mein tumhaare hamin to hain
duniya-e-zindagi ka nazara karen to kya
duniya-e-zindagi ke nazare hamin to hain
'parwez' shairi ki hararat hamin se hai
ilm-o-adab ke shoKH sharare hamin to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.