ai kash ek din KHud se ho guftugu
ai kaash ek din ḳhud se ho guftugū
muddat se hai mujhe apnī hī justujū
ḳhatre meñ paḌ ga.ī ab dil kī aabrū
ik dhund karb kī chhā.ī hai chār-sū
sab ḳhatm kar diye jis se ta'alluqāt
kartā hai rāt-din vo merī guftugū
mere qarīb tum aanā na bhuul kar
jhulsā na de tumheñ mere badan kī lū
jis se bhī baat kī us ko lagā.e zaḳhm
phir bhī na ho sakā merā koī adū
ik ābla-qadam guzrā hai shāyad aaj
zaḳhmī haiñ rāste patthar lahū lahū
lalkār kar mujhe maidān-e-jang se
pīchhe vo haT gayā aaya na dū-badū
kitnā ajiib ye merā tazād hai
ThanDā mizāj hai aur garm hai lahū
ho kar na be-jhijak rāhoñ meñ ghūmnā
phirte haiñ din meñ bhī aaseb kū-ba-kū
'najmī' ke qalb kā aalam ajiib hai
shahr-e-hayāt meñ marne kī aarzū
ai kash ek din KHud se ho guftugu
muddat se hai mujhe apni hi justuju
KHatre mein paD gai ab dil ki aabru
ek dhund karb ki chhai hai chaar-su
sab KHatm kar diye jis se ta'alluqat
karta hai raat-din wo meri guftugu
mere qarib tum aana na bhul kar
jhulsa na de tumhein mere badan ki lu
jis se bhi baat ki us ko lagae zaKHm
phir bhi na ho saka mera koi adu
ek aabla-qadam guzra hai shayad aaj
zaKHmi hain raste patthar lahu lahu
lalkar kar mujhe maidan-e-jang se
pichhe wo haT gaya aaya na du-badu
kitna ajib ye mera tazad hai
ThanDa mizaj hai aur garm hai lahu
ho kar na be-jhijak rahon mein ghumna
phirte hain din mein bhi aaseb ku-ba-ku
'najmi' ke qalb ka aalam ajib hai
shahr-e-hayat mein marne ki aarzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.