ai kash koi aae KHaridar ki tarah
ai kaash koī aa.e ḳharīdār kī tarah
apnā bhī dil hai misr ke bāzār kī tarah
jangal kī aag se vo kisī taur kam nahīñ
jo bhī zabān chaltī hai talvār kī tarah
kal tak jo shahryār thā aur bā-vaqār thā
ab jī rahā hai zindagī nādār kī tarah
sab dekhte haiñ aap ke a.amāl raat din
kiije na baat sāhib-e-kirdār kī tarah
guzrā hai ham pe bārhā aalam judā.ī kā
jaage haiñ ham bhī dīda-e-bedār kī tarah
kahne ko ġham-gusār haiñ is shahr meñ bahut
miltā nahīñ magar koī ġham-ḳhvār kī tarah
shāyad hamāre shahr kā mausam ḳharāb hai
jis ko bhī dekho chaltā hai bīmār kī tarah
do pal sukūñ bahut hai masāfat meñ dosto
vo mehrbāñ haiñ sāya-e-dīvār kī tarah
kahte haiñ log us ke hue valvale tamām
jo jī rahā thā zindagī zardār kī tarah
ek ek qatra ḳhuuñ kā farāz-e-salīb se
barsā hai dil pe abr-e-guhar-bār kī tarah
zaḳhmoñ kī fasl apne badan meñ sameT kar
dhartī ko kar gayā vo saman-zār kī tarah
us se hisāb-e-zindagī māñgegā kaun 'shauq'
jiitā rahā jo shahr meñ nādār kī tarah
ai kash koi aae KHaridar ki tarah
apna bhi dil hai misr ke bazar ki tarah
jangal ki aag se wo kisi taur kam nahin
jo bhi zaban chalti hai talwar ki tarah
kal tak jo shahryar tha aur ba-waqar tha
ab ji raha hai zindagi nadar ki tarah
sab dekhte hain aap ke aamal raat din
kije na baat sahib-e-kirdar ki tarah
guzra hai hum pe barha aalam judai ka
jage hain hum bhi dida-e-bedar ki tarah
kahne ko gham-gusar hain is shahr mein bahut
milta nahin magar koi gham-KHwar ki tarah
shayad hamare shahr ka mausam KHarab hai
jis ko bhi dekho chalta hai bimar ki tarah
do pal sukun bahut hai masafat mein dosto
wo mehrban hain saya-e-diwar ki tarah
kahte hain log us ke hue walwale tamam
jo ji raha tha zindagi zardar ki tarah
ek ek qatra KHun ka faraaz-e-salib se
barsa hai dil pe abr-e-guhar-bar ki tarah
zaKHmon ki fasl apne badan mein sameT kar
dharti ko kar gaya wo saman-zar ki tarah
us se hisab-e-zindagi mangega kaun 'shauq'
jita raha jo shahr mein nadar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.