ai kash na hota ye asar aah-e-rasa mein
ai kaash na hotā ye asar āh-e-rasā meñ
ik barhamī aatī hai nazar zulf-e-dotā meñ
dāḳhil jo huā halqa-e-taslīm-o-razā meñ
paatā nahīñ vo farq sazā aur jazā meñ
us anjuman-e-nāz meñ kyā kaam qazā kā
huuñ saikḌoñ andāz jahāñ ek adā meñ
me.arāj-e-mohabbat meñ huiiñ lāzim-o-malzūm
hai ek kashish merī vafā terī jafā meñ
sābit ye huā dard-e-mohabbat ke asar se
tāsīr duā meñ hai na tāsīr davā meñ
dil jhukte haiñ aise ki kabhī sar nahīñ uThte
ushshāq ne kuchh paayā hai naqsh-e-kaf-e-pā meñ
ik uqda hai jo khul nahīñ saktā hai kisī se
ye kis ne girah Daalī tire band-e-qabā meñ
'beḳhud' kā nishāñ pūchhte ho qāfile vaalo
ik gard sī uḌtī huī dekhā hai havā meñ
ai kash na hota ye asar aah-e-rasa mein
ek barhami aati hai nazar zulf-e-dota mein
daKHil jo hua halqa-e-taslim-o-raza mein
pata nahin wo farq saza aur jaza mein
us anjuman-e-naz mein kya kaam qaza ka
hun saikDon andaz jahan ek ada mein
mearaj-e-mohabbat mein huin lazim-o-malzum
hai ek kashish meri wafa teri jafa mein
sabit ye hua dard-e-mohabbat ke asar se
tasir dua mein hai na tasir dawa mein
dil jhukte hain aise ki kabhi sar nahin uThte
ushshaq ne kuchh paya hai naqsh-e-kaf-e-pa mein
ek uqda hai jo khul nahin sakta hai kisi se
ye kis ne girah Dali tere band-e-qaba mein
'beKHud' ka nishan puchhte ho qafile walo
ek gard si uDti hui dekha hai hawa mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.