ai KHirad aur junun KHuda-hafiz
ai ḳhirad aur junūñ ḳhudā-hāfiz
ai dil-e-be-sukūñ ḳhudā-hāfiz
ruḳhsatī apnī zaat se chāhūñ
aaj ḳhud se kahūñ ḳhudā-hāfiz
mujh ko izn-e-mafāriqat hai dost
phir na shāyad milūñ ḳhudā-hāfiz
tujh ko mushkil hai to judā.ī kī
ibtidā maiñ karūñ ḳhudā-hāfiz
ye gumāñ tak na thā mujhe ik din
tujh se kahnā hai yuuñ ḳhudā-hāfiz
ruuh ko karb se rihā.ī de
mere soz-e-darūñ ḳhudā-hāfiz
ai KHirad aur junun KHuda-hafiz
ai dil-e-be-sukun KHuda-hafiz
ruKHsati apni zat se chahun
aaj KHud se kahun KHuda-hafiz
mujh ko izn-e-mafariqat hai dost
phir na shayad milun KHuda-hafiz
tujh ko mushkil hai to judai ki
ibtida main karun KHuda-hafiz
ye guman tak na tha mujhe ek din
tujh se kahna hai yun KHuda-hafiz
ruh ko karb se rihai de
mere soz-e-darun KHuda-hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.