ai KHuda aisa karishma ho jae
ai ḳhudā aisā karishma ho jaa.e
dil kā sahrā mirā dariyā ho jaa.e
āñsuo tum zarā mohtāt raho
ishq kā raaz na ifshā ho jaa.e
duur ho jā.egī barsoñ kī thakan
us kī zulfoñ kā jo saayā ho jaa.e
sar jahāñ fart-e-junūñ meñ rakh duuñ
vo zamīñ dāman-e-ka.aba ho jaa.e
zaḳhm baḳhshe haiñ jo us ne mujh ko
kaun chāhegā ki achchhā ho jaa.e
us kā parde hī meñ rahnā achchhā
parda uTh jaa.e to kyā kyā ho jaa.e
un kī har baat sunī jaatī hai
maiñ jo bolūñ to tamāshā ho jaa.e
phir uThī jhuum ke mad.hosh ghaTā
aaj saaqī se taqāzā ho jaa.e
aadmī hai to ḳhatā bhī hogī
aadmī kaise farishta ho jaa.e
us ke aiboñ ko chhupā le ai 'shād'
kyā zarūrī hai ki charchā ho jaa.e
ai KHuda aisa karishma ho jae
dil ka sahra mera dariya ho jae
aansuo tum zara mohtat raho
ishq ka raaz na ifsha ho jae
dur ho jaegi barson ki thakan
us ki zulfon ka jo saya ho jae
sar jahan fart-e-junun mein rakh dun
wo zamin daman-e-kaba ho jae
zaKHm baKHshe hain jo us ne mujh ko
kaun chahega ki achchha ho jae
us ka parde hi mein rahna achchha
parda uTh jae to kya kya ho jae
un ki har baat suni jati hai
main jo bolun to tamasha ho jae
phir uThi jhum ke madhosh ghaTa
aaj saqi se taqaza ho jae
aadmi hai to KHata bhi hogi
aadmi kaise farishta ho jae
us ke aibon ko chhupa le ai 'shad'
kya zaruri hai ki charcha ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.