ai KHuda aisa moajiza ho koi
ai ḳhudā aisā mo.ajiza ho koī
ishq meñ mere mubtalā ho koī
is tarah dekhtā huuñ maiñ us ko
jis tarah ḳhvāb dekhtā ho koī
ain mumkin hai is ġhazal meñ sher
mere hisse ke kah rahā ho koī
rab kā jo har kahā qubūl kare
us ke hoñToñ pe kyā gilā ho koī
gum-shuda likh ke ek parche par
merī tasvīr bāñTtā ho koī
shab-e-furqat kā ġham liye ghar meñ
aaj kī raat jāgtā ho koī
dastaras meñ nahīñ hai chain us ko
zindagī ġham kā silsila ho koī
jhuum uThte haiñ dekh kar us ko
naġhma-e-zindagī nasha ho koī
ai KHuda aisa moajiza ho koi
ishq mein mere mubtala ho koi
is tarah dekhta hun main us ko
jis tarah KHwab dekhta ho koi
ain mumkin hai is ghazal mein sher
mere hisse ke kah raha ho koi
rab ka jo har kaha qubul kare
us ke honTon pe kya gila ho koi
gum-shuda likh ke ek parche par
meri taswir banTta ho koi
shab-e-furqat ka gham liye ghar mein
aaj ki raat jagta ho koi
dastaras mein nahin hai chain us ko
zindagi gham ka silsila ho koi
jhum uThte hain dekh kar us ko
naghma-e-zindagi nasha ho koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.