ai KHuda-e-pak rabb-e-zul-jalal
ai ḳhudā-e-pāk rabb-e-zul-jalāl
zindagī ko maut ke Dar se nikāl
chhoḌ ai nekī-zada pichhlī misāl
jazba-e-nekī bhī ab dariyā meñ Daal
ik ajab sī kaifiyat hai in dinoñ
na ḳhushī hai aur na koī malāl
zindagī terā muqaddar maut hai
roz ham karte haiñ terī dekh bhaal
ik to ye dozaḳh milā īñdhan talab
aur is par justujū rizq-e-halāl
jis jagah par ḳhatm hoñ sab rāste
phir vahīñ se ik nayā rasta nikāl
ye batā ravāq ke ma.anī haiñ kyā
bhuuk kī shiddat ye kartī hai savāl
mere jaise shā.iroñ kī zindagī
na to maazī hai na mustaqbil na haal
zindagī meñ sab ke sab uljhe hue
zindagī hai bhī bahut mushkil savāl
chhoḌ de ab tīr-o-tarkash chhoḌ de
guftugū se mas.ale kā hal nikāl
ai KHuda-e-pak rabb-e-zul-jalal
zindagi ko maut ke Dar se nikal
chhoD ai neki-zada pichhli misal
jazba-e-neki bhi ab dariya mein Dal
ek ajab si kaifiyat hai in dinon
na KHushi hai aur na koi malal
zindagi tera muqaddar maut hai
roz hum karte hain teri dekh bhaal
ek to ye dozaKH mila indhan talab
aur is par justuju rizq-e-halal
jis jagah par KHatm hon sab raste
phir wahin se ek naya rasta nikal
ye bata rawaq ke mani hain kya
bhuk ki shiddat ye karti hai sawal
mere jaise shairon ki zindagi
na to mazi hai na mustaqbil na haal
zindagi mein sab ke sab uljhe hue
zindagi hai bhi bahut mushkil sawal
chhoD de ab tir-o-tarkash chhoD de
guftugu se masale ka hal nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.