ai KHuda hasrat-o-jazbaat ke mare hue log
ai ḳhudā hasrat-o-jazbāt ke maare hue log
ab kahāñ jaa.eñ ye hālāt ke maare hue log
terī duniyā kī kahānī bhī ajab hai maulā
dar-ba-dar rahte haiñ haq baat ke maare hue log
sub.h-e-nau ke liye zambīl-e-talab laa.e haiñ
dasht-e-vīrāñ meñ siyah raat ke maare hue log
tū bhī ārām zarā kar le ġhubār-e-manzil
abhī so.e haiñ musāfāt ke maare hue log
ho ke māyūs parī-ḳhāne se lauTe 'shauqī'
jaane kyoñ shoḳh ishārāt ke maare hue log
ai KHuda hasrat-o-jazbaat ke mare hue log
ab kahan jaen ye haalat ke mare hue log
teri duniya ki kahani bhi ajab hai maula
dar-ba-dar rahte hain haq baat ke mare hue log
subh-e-nau ke liye zambil-e-talab lae hain
dasht-e-viran mein siyah raat ke mare hue log
tu bhi aaram zara kar le ghubar-e-manzil
abhi soe hain musafat ke mare hue log
ho ke mayus pari-KHane se lauTe 'shauqi'
jaane kyon shoKH ishaaraat ke mare hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.