ai KHuda jab se ata ki tu ne peshani mujhe
ai ḳhudā jab se atā kī tū ne peshānī mujhe
sar uThāne meñ huī hai kitnī āsānī mujhe
apne dil meñ hī basā rakkhī hai maiñ ne kā.enāt
koī kah saktā nahīñ ab naqsh-e-vīrānī mujhe
aise vahshat-nāk manzar mujh meñ aate haiñ nazar
ab nahīñ hotī kisī par koī hairānī mujhe
saiñkaḌoñ sadiyoñ se sahrā kī sadā ke saath huuñ
raas aa saktī nahīñ dariyā kī sultānī mujhe
us taraf hī chal paḌūñgā sochne kā kyā maqām
jis taraf le jā.egī ye rāh-e-anjānī mujhe
ai KHuda jab se ata ki tu ne peshani mujhe
sar uThane mein hui hai kitni aasani mujhe
apne dil mein hi basa rakkhi hai main ne kaenat
koi kah sakta nahin ab naqsh-e-virani mujhe
aise wahshat-nak manzar mujh mein aate hain nazar
ab nahin hoti kisi par koi hairani mujhe
sainkaDon sadiyon se sahra ki sada ke sath hun
ras aa sakti nahin dariya ki sultani mujhe
us taraf hi chal paDunga sochne ka kya maqam
jis taraf le jaegi ye rah-e-anjaani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.