ai KHuda kaisa saman aaya hai
ai ḳhudā kaisā samāñ aayā hai
shahr meñ har sū dhuāñ chhāyā hai
luT ga.ī ḳhalq-e-ḳhudā kī hasrat
ahd-e-nau aisā ziyāñ laayā hai
hijr ke dasht meñ yaksar maiñ ne
ġham ke dariyā ko ravāñ paayā hai
sirf mujh ko nahīñ daulat kī talab
sab ko darkār yahāñ maayā hai
baḌī mushkil se jahāñ ko 'shauqī'
merā andāz-e-bayāñ bhāyā hai
ai KHuda kaisa saman aaya hai
shahr mein har su dhuan chhaya hai
luT gai KHalq-e-KHuda ki hasrat
ahd-e-nau aisa ziyan laya hai
hijr ke dasht mein yaksar main ne
gham ke dariya ko rawan paya hai
sirf mujh ko nahin daulat ki talab
sab ko darkar yahan maya hai
baDi mushkil se jahan ko 'shauqi'
mera andaz-e-bayan bhaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.