ai KHuda mujhko moatabar kar de
ai ḳhudā mujh ko mo'atabar kar de
tū mirā us ke dil meñ ghar kar de
vo sune jab khiñchā chalā aa.e
nāla-e-dil meñ vo asar kar de
maiñ huuñ kis haal meñ vo kyā jaane
koī us ko mirī ḳhabar kar de
ronā kyā zindagī pe ai 'shahzād'
ho ke chup zindagī basar kar de
ai KHuda mujh ko mo'atabar kar de
tu mera us ke dil mein ghar kar de
wo sune jab khincha chala aae
nala-e-dil mein wo asar kar de
main hun kis haal mein wo kya jaane
koi us ko meri KHabar kar de
rona kya zindagi pe ai 'shahzad'
ho ke chup zindagi basar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.