ai KHuda tar mere sahraon ka daman kar de
ai ḳhudā tar mire sahrāoñ kā dāman kar de
abr ko moḌ de is samt ko sāvan kar de
is se pahle ki koī toḌ ke bikhrā de mujhe
mere mālik tū mere hausle aahan kar de
ḳhār-o-ḳhas kī hī hukūmat hai gulistānoñ meñ
apnī rahmat se harā merā ye gulshan kar de
hilm aisā ki jo dushman ko banā le apnā
ilm vo de jo ḳhayālāt ko raushan kar de
tujh ko allāh ne baḳhshā hai 'shifā' kyā kyā kuchh
band har vaqt kā ye nāla-o-shevan kar de
ai KHuda tar mere sahraon ka daman kar de
abr ko moD de is samt ko sawan kar de
is se pahle ki koi toD ke bikhra de mujhe
mere malik tu mere hausle aahan kar de
KHar-o-KHas ki hi hukumat hai gulistanon mein
apni rahmat se hara mera ye gulshan kar de
hilm aisa ki jo dushman ko bana le apna
ilm wo de jo KHayalat ko raushan kar de
tujh ko allah ne baKHsha hai 'shifa' kya kya kuchh
band har waqt ka ye nala-o-shewan kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.