ai KHuda tu hi mujhe chahne wala dena
ai ḳhudā tū hī mujhe chāhne vaalā denā
ek fankār huuñ shohrat ke ujāle denā
chup rahūñ logoñ kī dushnām-tarāzī par maiñ
baḳhshnā nutq mujhe zabt ke taale denā
a jahāñ vaalo suno vaqt kā suqrāt hai vo
ab zarūrī hai use zahr ke pyāle denā
bhejnā nuurī parindoñ ko jahāñ meñ yārab
duur kar denā añdhere ko ujāle denā
chand tahrīk humāyūñ, nahīñ chhapte ab to
a mudīrān-e-adab achchhe risāle denā
kyā nayā sher-o-adab kyā hai classici ġhazal
bahs meñ 'rām' ke sheroñ ke havāle denā
ai KHuda tu hi mujhe chahne wala dena
ek fankar hun shohrat ke ujale dena
chup rahun logon ki dushnam-taraazi par main
baKHshna nutq mujhe zabt ke tale dena
a jahan walo suno waqt ka suqraat hai wo
ab zaruri hai use zahr ke pyale dena
bhejna nuri parindon ko jahan mein yarab
dur kar dena andhere ko ujale dena
chand tahrik humayun, nahin chhapte ab to
a mudiran-e-adab achchhe risale dena
kya naya sher-o-adab kya hai classici ghazal
bahs mein 'ram' ke sheron ke hawale dena
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 652)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.