ai KHuda zabt ke zindan mein koi dar kar de
ai ḳhudā zabt ke zindāñ meñ koī dar kar de
yā use mom banā yā mujhe patthar kar de
par kiye haiñ jo atā tāqat-e-parvāz bhī de
yā to maiñ khul ke uḌuuñ yā mujhe be-par kar de
sāzisheñ karte haiñ kyuuñ apne gharāne vaale
ghar diyā hai to mire ghar ko mirā ghar kar de
mujh se ye karb kā aalam nahīñ dekhā jaatā
hāfiza chhīn le āñkheñ mirī patthar kar de
mire hisse kā sakūñ baañT de insānoñ meñ
dard-e-sar saare zamāne kā mire sar kar de
mujh ko insān utārā hai to insān banā
be-zarī merā muqaddar hai to bū-zar kar de
ai KHuda zabt ke zindan mein koi dar kar de
ya use mom bana ya mujhe patthar kar de
par kiye hain jo ata taqat-e-parwaz bhi de
ya to main khul ke uDun ya mujhe be-par kar de
sazishen karte hain kyun apne gharane wale
ghar diya hai to mere ghar ko mera ghar kar de
mujh se ye karb ka aalam nahin dekha jata
hafiza chhin le aankhen meri patthar kar de
mere hisse ka sakun banT de insanon mein
dard-e-sar sare zamane ka mere sar kar de
mujh ko insan utara hai to insan bana
be-zari mera muqaddar hai to bu-zar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.