ai KHuda zist muKHtasar de de
ai ḳhudā ziist muḳhtasar de de
manziloñ ko mirī safar de de
fan nahīñ māñgtā huuñ maiñ koī
jo ho dil-āshnā nazar de de
taḳht aur taaj kā nahīñ qaa.il
bas du'ā meñ mirī asar de de
jī rahā huuñ to jī rahā huuñ maiñ
kaun kab maut kī ḳhabar de de
ai KHuda zist muKHtasar de de
manzilon ko meri safar de de
fan nahin mangta hun main koi
jo ho dil-ashna nazar de de
taKHt aur taj ka nahin qail
bas du'a mein meri asar de de
ji raha hun to ji raha hun main
kaun kab maut ki KHabar de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.