ai KHuda zulf-e-wafa ko hajra ki shan de
ai KHuda zulf-e-wafa ko hajra ki shan de
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
ai ḳhudā zulf-e-vafā ko hājra kī shaan de
vaqt hai phir mujh ko ibrāhīm kā īmān de
jaan se jaatī hai duniyā apne maqsad ke liye
phir koī shabbīr tere naam par bhī jaan de
zindagī meñ fard ke ehsās ko bedār kar
dil ko dard aur 'aql ko tauhīd kā 'irfān de
har taraf hadd-e-nazar tak haiñ baġhāvat ke sutūn
amn ke saa.e meñ rahne kī mujhe pahchān de
saarī duniyā ko 'atā kar apne 'zaidī' kā shu'ūr
dard-mandoñ ke diloñ ko hubb-e-pākistān de
ai KHuda zulf-e-wafa ko hajra ki shan de
waqt hai phir mujh ko ibrahim ka iman de
jaan se jati hai duniya apne maqsad ke liye
phir koi shabbir tere nam par bhi jaan de
zindagi mein fard ke ehsas ko bedar kar
dil ko dard aur 'aql ko tauhid ka 'irfan de
har taraf hadd-e-nazar tak hain baghawat ke sutun
amn ke sae mein rahne ki mujhe pahchan de
sari duniya ko 'ata kar apne 'zaidi' ka shu'ur
dard-mandon ke dilon ko hubb-e-pakistan de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.