ai KHusha-waqte ki shoKH-e-tarah-dar aa hi gaya
ai KHusha-waqte ki shoKH-e-tarah-dar aa hi gaya
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
ai ḳhushā-vaqte ki shoḳh-e-tarah-dār aa hī gayā
haañ vo jān-e-mai-kada msatānā-vār aa hī gayā
dard kī shiddat hī āḳhir dard kā darmāñ banī
be-qarārī se mujhe āḳhir qarār aa hī gayā
yaad the un ke mujhe sab ahd-o-paimāñ toḌne
vāda-e-fardā pe lekin e'tibār aa hī gayā
maut laa.ī hai payām-e-iḳhtitām-e-ranj-o-ġham
aa gayā vo vaqt ba.ad-e-intizār aa hī gayā
is taraf josh-e-mohabbat us taraf josh-e-shabāb
aa gayā haañ un pe dil be-iḳhtiyār aa hī gayā
zauq-e-ḳhud-bīnī ne dikhlā.ī 'sahar' apnī bahār
husn ke ma.asūm chehre par nikhār aa hī gayā
ai KHusha-waqte ki shoKH-e-tarah-dar aa hi gaya
han wo jaan-e-mai-kada msatana-war aa hi gaya
dard ki shiddat hi aaKHir dard ka darman bani
be-qarari se mujhe aaKHir qarar aa hi gaya
yaad the un ke mujhe sab ahd-o-paiman toDne
wada-e-farda pe lekin e'tibar aa hi gaya
maut lai hai payam-e-iKHtitam-e-ranj-o-gham
aa gaya wo waqt baad-e-intizar aa hi gaya
is taraf josh-e-mohabbat us taraf josh-e-shabab
aa gaya han un pe dil be-iKHtiyar aa hi gaya
zauq-e-KHud-bini ne dikhlai 'sahar' apni bahaar
husn ke masum chehre par nikhaar aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.