ai KHwahish-e-yak-tarfa-e-taraj-e-junun sun
ai ḳhvāhish-e-yak-tarfa-e-tārāj-e-junūñ sun
sun dil ke qarīñ zamzama-e-kun-fayakūñ sun
sunñe kī hai jo taab to phir khol darīche
ai gosh-e-mohabbat mirā ahvāl-e-zubūñ sun
kyoñ is meñ jalātā nahīñ tū yaad kī sham.eñ
kab tak tū rahegā yuuñ tahī kunj-e-darūñ sun
ik baar vo aayā thā mirī ishrat-e-shab meñ
taarī hai mire dil pe vahī shām-e-fusūñ sun
ḳhamyāza-e-bedārī-e-shab jhel rahī huuñ
rūThā hai 'sahar' mujh se mirā ḳhvāb-e-darūñ sun
ai KHwahish-e-yak-tarfa-e-taraj-e-junun sun
sun dil ke qarin zamzama-e-kun-fayakun sun
sunne ki hai jo tab to phir khol dariche
ai gosh-e-mohabbat mera ahwal-e-zubun sun
kyon is mein jalata nahin tu yaad ki shamen
kab tak tu rahega yun tahi kunj-e-darun sun
ek bar wo aaya tha meri ishrat-e-shab mein
tari hai mere dil pe wahi sham-e-fusun sun
KHamyaza-e-bedari-e-shab jhel rahi hun
ruTha hai 'sahar' mujh se mera KHwab-e-darun sun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.