ai ki tujhse taqat-e-parwaz baal-o-par mein hai
ai ki tujh se tāqat-e-parvāz bāl-o-par meñ hai
vo bulandī de jo azm-e-hausla-parvar meñ hai
qatra-e-ashk-e-nadāmat merī chashm-e-tar meñ hai
pesh kartā huuñ vahī yā-rab jo mere ghar meñ hai
mai kā har qatra huā hai hāmil-e-kaif-e-tamām
goyā mai-ḳhāna kā mai-ḳhāna mire sāġhar meñ hai
dard ḳhud hī vaz.a kar letā hai sāmān-e-ḳhalish
maujzan merā hī ḳhūn-e-dil rag-e-nashtar meñ hai
ho ke dāman-chāk asliyyat ko uryāñ kar diyā
kyoñ ye saudā-e-numā.ish har kalī ke sar meñ hai
ai junūñ dīvār-o-dar kī toḌ de had-bandiyāñ
dekhnā phir vus.at-e-sahrā hamāre ghar meñ hai
dil meñ hai kaifiyyat-e-sāġhar kī mujh ko justujū
aur dil Duubā huā kaifiyyat-e-sāġhar meñ hai
nafs-e-sarkash tū na thā āmāda-e-sajda magar
ik kashish ik jāzbiyyat tere sang-e-dar meñ hai
tangī-e-dasht-e-junūñ kā kaun fariyādī huā
ek mahshar aur barpā arsa-e-mahshar meñ hai
dekhiye zauq-e-safā-keshī kā ho anjām kyā
qismat-e-ā.īna 'muslim' dast-e-askandar meñ hai
ai ki tujh se taqat-e-parwaz baal-o-par mein hai
wo bulandi de jo azm-e-hausla-parwar mein hai
qatra-e-ashk-e-nadamat meri chashm-e-tar mein hai
pesh karta hun wahi ya-rab jo mere ghar mein hai
mai ka har qatra hua hai hamil-e-kaif-e-tamam
goya mai-KHana ka mai-KHana mere saghar mein hai
dard KHud hi waza kar leta hai saman-e-KHalish
maujzan mera hi KHun-e-dil rag-e-nashtar mein hai
ho ke daman-chaak asliyyat ko uryan kar diya
kyon ye sauda-e-numaish har kali ke sar mein hai
ai junun diwar-o-dar ki toD de had-bandiyan
dekhna phir wusat-e-sahra hamare ghar mein hai
dil mein hai kaifiyyat-e-saghar ki mujh ko justuju
aur dil Duba hua kaifiyyat-e-saghar mein hai
nafs-e-sarkash tu na tha aamada-e-sajda magar
ek kashish ek jazbiyyat tere sang-e-dar mein hai
tangi-e-dasht-e-junun ka kaun fariyaadi hua
ek mahshar aur barpa arsa-e-mahshar mein hai
dekhiye zauq-e-safa-keshi ka ho anjam kya
qismat-e-aina 'muslim' dast-e-askandar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.