ai ki tu KHud hi be-naqab nahin
ai ki tū ḳhud hī be-naqāb nahīñ
yā mujhe hī nazar kī taab nahīñ
aap ke husn kā javāb nahīñ
chāñd sūraj nahīñ gulāb nahīñ
aap kaise haiñ soḳhta-sāmāñ
aap kā dil agar kabāb nahīñ
ik nazar hī to Daal de saaqī
gar tire jaam meñ sharāb nahīñ
mere zulmat-kade meñ niklā chāñd
ai ḳhudāvand kyā ye ḳhvāb nahīñ
kyā nahīñ ek bulbula sā saañs
kyā ye duniyā faqat sarāb nahīñ
zindagī meñ 'azāb haiñ lākhoñ
'ishq aisā koī 'azāb nahīñ
soch kar kuud bahr-e-ulfat meñ
sohnī ye koī chanāb nahīñ
'ishq aur is meñ fikr-e-sūd-o-ziyāñ
'ishq hai ye koī hisāb nahīñ
dekhtā huuñ to dekhe jaatā huuñ
terā chehra abhī kitāb nahīñ
kaifiyat hai ye dil kī piirī meñ
jaam to hai magar sharāb nahīñ
ham faqīroñ ko husn kī ḳhairāt
is se baḌh kar koī savāb nahīñ
ham faqīroñ ko husn kī ḳhairāt
is se baḌh kar koī savāb nahīñ
ab se us shoḳh ke haiñ ye andāz
aur us par abhī shabāb nahīñ
sāmne hai nazar nahīñ aatā
vo ki ho kar bhī be-hijāb nahīñ
ab bhī rone ko aañkh ro detī
ek qatra bhī is meñ aab nahīñ
maiñ bhī huuñ apnī bazm meñ ġhālib
ho muqābil kisī meñ taab nahīñ
ham ne dekhe haiñ sar-phire lākhoñ
ai 'amar' aap kā javāb nahīñ
ai ki tu KHud hi be-naqab nahin
ya mujhe hi nazar ki tab nahin
aap ke husn ka jawab nahin
chand suraj nahin gulab nahin
aap kaise hain soKHta-saman
aap ka dil agar kabab nahin
ek nazar hi to Dal de saqi
gar tere jam mein sharab nahin
mere zulmat-kade mein nikla chand
ai KHudawand kya ye KHwab nahin
kya nahin ek bulbula sa sans
kya ye duniya faqat sarab nahin
zindagi mein 'azab hain lakhon
'ishq aisa koi 'azab nahin
soch kar kud bahr-e-ulfat mein
sohni ye koi chanab nahin
'ishq aur is mein fikr-e-sud-o-ziyan
'ishq hai ye koi hisab nahin
dekhta hun to dekhe jata hun
tera chehra abhi kitab nahin
kaifiyat hai ye dil ki piri mein
jam to hai magar sharab nahin
hum faqiron ko husn ki KHairaat
is se baDh kar koi sawab nahin
hum faqiron ko husn ki KHairaat
is se baDh kar koi sawab nahin
ab se us shoKH ke hain ye andaz
aur us par abhi shabab nahin
samne hai nazar nahin aata
wo ki ho kar bhi be-hijab nahin
ab bhi rone ko aankh ro deti
ek qatra bhi is mein aab nahin
main bhi hun apni bazm mein ghaalib
ho muqabil kisi mein tab nahin
hum ne dekhe hain sar-phire lakhon
ai 'amar' aap ka jawab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.