ai ku-e-yar tere zamane guzar gae
ai kū-e-yār tere zamāne guzar ga.e
jo apne ghar se aa.e the vo apne ghar ga.e
ab kaun zaḳhm o zahr se rakkhegā silsila
jiine kī ab havas hai hameñ ham to mar ga.e
ab kyā kahūñ ki saarā mohalla hai sharmsār
maiñ huuñ azaab meñ ki mire zaḳhm bhar ga.e
ham ne bhī zindagī ko tamāshā banā diyā
us se guzar ga.e kabhī ḳhud se guzar ga.e
thā ran bhī zindagī kā ajab turfa mājrā
ya.anī uThe to paañv magar 'jaun' sar ga.e
ai ku-e-yar tere zamane guzar gae
jo apne ghar se aae the wo apne ghar gae
ab kaun zaKHm o zahr se rakkhega silsila
jine ki ab hawas hai hamein hum to mar gae
ab kya kahun ki sara mohalla hai sharmsar
main hun azab mein ki mere zaKHm bhar gae
hum ne bhi zindagi ko tamasha bana diya
us se guzar gae kabhi KHud se guzar gae
tha ran bhi zindagi ka ajab turfa majra
yani uThe to panw magar 'jaun' sar gae
- Book : gumaan (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.