ai mahw-e-naz mera jahan ek nazar to dekh
ai mahv-e-nāz merā jahāñ ik nazar to dekh
hotī hai kis tarah shab-e-ġham kī sahar to dekh
ye kyā kahā ki koī nahīñ qadr-dāñ mirā
tujh ko qasam hai merī taraf ik nazar to dekh
chhā.ī hai bazm-e-husn meñ ab bhī fasurdagī
pahuñchā kahāñ talak ġham-e-dil kā asar to dekh
manzil kā hosh hai na hai kuchh raah kī ḳhabar
kitnā ajiib hai ye hamārā safar to dekh
uljhā huā hai zulf meñ aariz pe kar nazar
dekhā kiyā hai shaam zarā ab sahar to dekh
ai ham-nafas sahar se mirā dil hai be-qarār
laa.ī sabā kisī kī ho shāyad ḳhabar to dekh
maanā ki rāsta hai bahut pur-ḳhatar magar
'najma' na ho udaas sū-e-rāhbar to dekh
ai mahw-e-naz mera jahan ek nazar to dekh
hoti hai kis tarah shab-e-gham ki sahar to dekh
ye kya kaha ki koi nahin qadr-dan mera
tujh ko qasam hai meri taraf ek nazar to dekh
chhai hai bazm-e-husn mein ab bhi fasurdagi
pahuncha kahan talak gham-e-dil ka asar to dekh
manzil ka hosh hai na hai kuchh rah ki KHabar
kitna ajib hai ye hamara safar to dekh
uljha hua hai zulf mein aariz pe kar nazar
dekha kiya hai sham zara ab sahar to dekh
ai ham-nafas sahar se mera dil hai be-qarar
lai saba kisi ki ho shayad KHabar to dekh
mana ki rasta hai bahut pur-KHatar magar
'najma' na ho udas su-e-rahbar to dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.