ai mahw-e-raqs nach abhi aur nach aur
ai mahv-e-raqs naach abhī aur naach aur
is sar-phirī zamīn kī himmat ko jāñch aur
ham rāh-e-'ishq-e-haq ke musāfir haiñ so huzūr
kāñToñ ke saath Dāliye kuchh kāñch-vāñch aur
ai bulbul-e-asīr-e-qafas yā'nī dard-e-dil
zanjīr-e-pā-e-sabr na tū khīñch-khāñch aur
phir shāfe'-e-ġhazāl-o-ġhazal par maiñ kuchh kahūñ
mil jaa.eñ lafz ḳhuub agar chaar pāñch aur
hai muflisī qusūr to maiñ huuñ qusūr-vār
dozaḳh baḌhā sake to baḌhā apnī aañch aur
āñkhoñ meñ aaj dard kī qillat hai bevafā
phir in meñ aaj Daal de pighlā ke kāñch aur
'tāhir' ġhazal ko aur abhī saaf kījiye
makkhan se kuchh nikāliye thoḌī sī chhāch aur
ai mahw-e-raqs nach abhi aur nach aur
is sar-phiri zamin ki himmat ko jaanch aur
hum rah-e-'ishq-e-haq ke musafir hain so huzur
kanTon ke sath Daliye kuchh kanch-wanch aur
ai bulbul-e-asir-e-qafas ya'ni dard-e-dil
zanjir-e-pa-e-sabr na tu khinch-khanch aur
phir shafe'-e-ghazal-o-ghazal par main kuchh kahun
mil jaen lafz KHub agar chaar panch aur
hai muflisi qusur to main hun qusur-war
dozaKH baDha sake to baDha apni aanch aur
aankhon mein aaj dard ki qillat hai bewafa
phir in mein aaj Dal de pighla ke kanch aur
'tahir' ghazal ko aur abhi saf kijiye
makkhan se kuchh nikaliye thoDi si chhach aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.