ai makan yaad hai kuchh tere makin kaise hain
ai makāñ yaad hai kuchh tere makīñ kaise haiñ
tujh meñ baste the kabhī aur kahīñ kaise haiñ
baam par chaltī havā chāñd sitāre bādal
DhūñDte phirte haiñ vo saare hasīñ kaise haiñ
in darīchoñ meñ jo chilman se lage rahte the
jalva-ārā haiñ kahāñ parda-nashīñ kaise haiñ
jin kī zulfoñ meñ sar-e-shām mahak rahtī thī
dilrubā sarv-qad-o-ḳhanda-jabīñ kaise haiñ
phuul girne kā samā.at ko gumāñ hotā thā
ḳhush-gulū aur ḳhush-andām nagīñ kaise haiñ
raat ke pichhle kināroñ pe daraḳhtoñ ke tale
sher kahte the sunāte the vahīñ kaise haiñ
ab to aḳhbār meñ chhapte haiñ marāsim un ke
ham se milte the kabhī qabl aziiñ kaise haiñ
ai makan yaad hai kuchh tere makin kaise hain
tujh mein baste the kabhi aur kahin kaise hain
baam par chalti hawa chand sitare baadal
DhunDte phirte hain wo sare hasin kaise hain
in darichon mein jo chilman se lage rahte the
jalwa-ara hain kahan parda-nashin kaise hain
jin ki zulfon mein sar-e-sham mahak rahti thi
dilruba sarw-qad-o-KHanda-jabin kaise hain
phul girne ka samaat ko guman hota tha
KHush-gulu aur KHush-andam nagin kaise hain
raat ke pichhle kinaron pe daraKHton ke tale
sher kahte the sunate the wahin kaise hain
ab to aKHbar mein chhapte hain marasim un ke
hum se milte the kabhi qabl azin kaise hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.