ai masiha mere kaisi ye masihai hai
ai masīhā mire kaisī ye masīhā.ī hai
itnī qurbat meñ bhī ik hijr hai tanhā.ī hai
mujh ko ābād karo mujh meñ koī rañg bharo
dil-e-muztar bhī bahāroñ kā tamannā.ī hai
us ne jaate hue dekhā na palaT kar tujh ko
tū hai dīvānī ki jīvan hī luTā aa.ī hai
sar-e-fihrist huuñ aġhyār kī fihrist meñ maiñ
aur kahne ko mirī tujh se shanāsā.ī hai
garche mīrās hai valiyoñ kī magar kyā kahiye
yaar ḳhāmosh raho ishq meñ rusvā.ī hai
ai masiha mere kaisi ye masihai hai
itni qurbat mein bhi ek hijr hai tanhai hai
mujh ko aabaad karo mujh mein koi rang bharo
dil-e-muztar bhi bahaaron ka tamannai hai
us ne jate hue dekha na palaT kar tujh ko
tu hai diwani ki jiwan hi luTa aai hai
sar-e-fihrist hun aghyar ki fihrist mein main
aur kahne ko meri tujh se shanasai hai
garche miras hai waliyon ki magar kya kahiye
yar KHamosh raho ishq mein ruswai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.