ai mauja-e-sarab tu phankegi kitni KHak
ai mauja-e-sarāb tū phāñkegī kitnī ḳhaak
mujh ko Dubone ke liye chhānegī kitnī ḳhaak
bach jaa.e musht-bhar sahī dafnāne ke liye
mauj-e-balā-e-ishq meñ Dūbegī kitnī ḳhaak
kitne hasīn ḳhvāb taraste haiñ diid ko
ā.īna-e-jamāl pe baiThegī kitnī ḳhaak
jis ke dar-o-darīcha-o-dīvār haiñ tabāh
is ḳhāna-e-sukūt ko pūchhegī kitnī ḳhaak
koī to chāhiye hadd-e-ḳhsuh-famī-e-fareb
duniyā tū merī aañkh meñ jhoñkegī kitnī ḳhaak
kyuuñ jhuk ga.ī hai bojh se tū āsmān ke
ab sar uThā ai zindagī chāTegī kitnī ḳhaak
mālan gulāb dafn bhī gul-dān meñ hue
bhar bhar ke muTThiyāñ abhī Dālegī kitnī ḳhaak
kab tak 'shafaq' chalegī ye āñdhī malāl kī
mere udaas baam pe barsegī kitnī ḳhaak
ai mauja-e-sarab tu phankegi kitni KHak
mujh ko Dubone ke liye chhanegi kitni KHak
bach jae musht-bhar sahi dafnane ke liye
mauj-e-bala-e-ishq mein Dubegi kitni KHak
kitne hasin KHwab taraste hain did ko
aaina-e-jamal pe baiThegi kitni KHak
jis ke dar-o-daricha-o-diwar hain tabah
is KHana-e-sukut ko puchhegi kitni KHak
koi to chahiye hadd-e-KHsuh-fami-e-fareb
duniya tu meri aankh mein jhonkegi kitni KHak
kyun jhuk gai hai bojh se tu aasman ke
ab sar uTha ai zindagi chaTegi kitni KHak
malan gulab dafn bhi gul-dan mein hue
bhar bhar ke muTThiyan abhi Dalegi kitni KHak
kab tak 'shafaq' chalegi ye aandhi malal ki
mere udas baam pe barsegi kitni KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.