ai mere hath ke kangan khanak aahista aahista
ai mere haath ke kañgan khanak āhista āhista
dhaḌak ai dil dhaḌak lekin dhaḌak āhista āhista
mirī āñkhoñ meñ chubhtī hai ziyāda raushnī ho to
ai jugnū sun damak lekin damak āhista āhista
zamāne baad aayā hai kisī kā aks āñkhoñ meñ
ai shāḳh-e-gul mahak lekin mahak āhista āhista
kabhī zid hī nahīñ kartī koī hasrat mire dil kī
machaltī hai magar man kī lalak āhista āhista
bharosa kījiye us par usī kī mehrbānī se
chalī aatī hai chehre par chamak āhista āhista
ye titlī phuul par baiThī hai to baiThī bhī rahne de
havā palkeñ jhapak lekin jhapak āhista āhista
ai mere hath ke kangan khanak aahista aahista
dhaDak ai dil dhaDak lekin dhaDak aahista aahista
meri aankhon mein chubhti hai ziyaada raushni ho to
ai jugnu sun damak lekin damak aahista aahista
zamane baad aaya hai kisi ka aks aankhon mein
ai shaKH-e-gul mahak lekin mahak aahista aahista
kabhi zid hi nahin karti koi hasrat mere dil ki
machalti hai magar man ki lalak aahista aahista
bharosa kijiye us par usi ki mehrbani se
chali aati hai chehre par chamak aahista aahista
ye titli phul par baiThi hai to baiThi bhi rahne de
hawa palken jhapak lekin jhapak aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.