ai mere ishq mujhe aur be-qarar na kar
ai mere ishq mujhe aur be-qarār na kar
vo bevafā hai mohabbat kī had ko paar na kar
baġhaur dekh mujhe tū ai sang-dil duniyā
maiñ ek phuul huuñ is tarah sañgsār na kar
vo bevafā hai nahīñ jab use koī parvāh
to apne zehn pe tū bhī use savār na kar
ajab ye dil hai nahīñ māntā mirā kahnā
maiñ us se roz ye kahtā huuñ intizār na kar
maiñ aaj us ke ḳhayāloñ meñ jiinā chāhtā huuñ
ki aaj mujh ko pareshān mere yaar na kar
ġhamoñ se chaak garebāñ hai ai sharar 'naqvī'
koī ye us se kahe aur taar taar na kar
ai mere ishq mujhe aur be-qarar na kar
wo bewafa hai mohabbat ki had ko par na kar
baghaur dekh mujhe tu ai sang-dil duniya
main ek phul hun is tarah sangsar na kar
wo bewafa hai nahin jab use koi parwah
to apne zehn pe tu bhi use sawar na kar
ajab ye dil hai nahin manta mera kahna
main us se roz ye kahta hun intizar na kar
main aaj us ke KHayalon mein jina chahta hun
ki aaj mujh ko pareshan mere yar na kar
ghamon se chaak gareban hai ai sharar 'naqwi'
koi ye us se kahe aur tar tar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.