ai mere shahr-e-ishq tera kaisa baKHt hai
ai mere shahr-e-ishq tirā kaisā baḳht hai
maiñ jis ko dekhtā huuñ vahī laḳht laḳht hai
ḳhush ho rahā huuñ is liye miTTī pe baiTh kar
yaaro yahī zamīn mirā pahlā taḳht hai
chhāñv kī justujū bhī kahāñ le ke aa ga.ī
sahrā se pūchhtā huuñ kahīñ par daraḳht hai
duniyā mire mizāj ko samjhī nahīñ abhī
shāyad isī liye merā lahja karaḳht hai
ik pal meñ kaise niklūñ maiñ duniyā sameT kar
saarī zamīñ pe bikhrā huā merā raḳht hai
'ehsān' vo to phuul se nāzuk lagā mujhe
maiñ to samajh rahā thā vo patthar se saḳht hai
ai mere shahr-e-ishq tera kaisa baKHt hai
main jis ko dekhta hun wahi laKHt laKHt hai
KHush ho raha hun is liye miTTi pe baiTh kar
yaro yahi zamin mera pahla taKHt hai
chhanw ki justuju bhi kahan le ke aa gai
sahra se puchhta hun kahin par daraKHt hai
duniya mere mizaj ko samjhi nahin abhi
shayad isi liye mera lahja karaKHt hai
ek pal mein kaise niklun main duniya sameT kar
sari zamin pe bikhra hua mera raKHt hai
'ehsan' wo to phul se nazuk laga mujhe
main to samajh raha tha wo patthar se saKHt hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.