ai mere yar mere mezban-e-ranj-o-alam
ai mere yaar mire mezbān-e-ranj-o-alam
koī qarār bhī hai kyā miyān-e-ranj-o-alam
zavāl-e-hosh-o-samā'at hai rok de koī
ḳhitāb-e-zaḳhm-e-shikasta bayān-e-ranj-o-alam
har ek shai ki mayassar hai fasl-e-girya ko
zamīn-e-ġham pe sajā āsmān-e-ranj-o-alam
yahī hai dasht yahī ghar yahī nishāñ apnā
mazār-e-dil pe jo hai āstān-e-ranj-o-alam
hamīñ haiñ kabk-e-suḳhan bhī gul-e-ḳhamoshāñ bhī
hamīñ satā.e hue bāġhbān-e-ranj-o-alam
luTī nazar meñ hī utregā ‘aks-e-ġham apnā
shikasta-dil hī paḌheñge zabān-e-ranj-o-alam
ai mere yar mere mezban-e-ranj-o-alam
koi qarar bhi hai kya miyan-e-ranj-o-alam
zawal-e-hosh-o-sama'at hai rok de koi
KHitab-e-zaKHm-e-shikasta bayan-e-ranj-o-alam
har ek shai ki mayassar hai fasl-e-girya ko
zamin-e-gham pe saja aasman-e-ranj-o-alam
yahi hai dasht yahi ghar yahi nishan apna
mazar-e-dil pe jo hai aastan-e-ranj-o-alam
hamin hain kabk-e-suKHan bhi gul-e-KHamoshan bhi
hamin satae hue baghban-e-ranj-o-alam
luTi nazar mein hi utrega ‘aks-e-gham apna
shikasta-dil hi paDhenge zaban-e-ranj-o-alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.