ai meri jaan dil-o-jaan mein rakhna hai tujhe
ai merī jaan dil-o-jān meñ rakhnā hai tujhe
yā'nī ki apne hī imkān meñ rakhnā hai tujhe
tere ehsās se chehre kā badan khul jaa.e
apnī is āḳhirī muskān meñ rakhnā hai tujhe
saarī duniyā ke vabāloñ se bachā kar ke tujhe
maiñ ne to hālat-e-āsān meñ rakhnā hai tujhe
taaki paḌh kar ye zamāna kahe kyā ḳhuub kahā
mujh ko likh kar kisī dīvān meñ rakhnā hai tujhe
bas yahī soch ke maiñ ne ye ġhazal likh Daalī
apne har she'r ke 'unvān meñ rakhnā hai tujhe
ai meri jaan dil-o-jaan mein rakhna hai tujhe
ya'ni ki apne hi imkan mein rakhna hai tujhe
tere ehsas se chehre ka badan khul jae
apni is aaKHiri muskan mein rakhna hai tujhe
sari duniya ke wabaalon se bacha kar ke tujhe
main ne to haalat-e-asan mein rakhna hai tujhe
taki paDh kar ye zamana kahe kya KHub kaha
mujh ko likh kar kisi diwan mein rakhna hai tujhe
bas yahi soch ke main ne ye ghazal likh Dali
apne har she'r ke 'unwan mein rakhna hai tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.