ai mere dil bata KHwab bunta hai kyun
ai mire dil batā ḳhvāb buntā hai kyuuñ
rūThnā un kī fitrat hai rotā hai kyuuñ
be-vafā aadmī be-vafā zindagī
jāntā hai agar dil lagātā hai kyuuñ
duur rah kar bhī jab tū mire paas hai
tujh ko paane ko dil phir machaltā hai kyuuñ
vo judā kyā hue zindagī bhī ga.ī
āñsuoñ kī jagah ḳhuuñ bahātā hai kyuuñ
ai mere dil bata KHwab bunta hai kyun
ruThna un ki fitrat hai rota hai kyun
be-wafa aadmi be-wafa zindagi
jaanta hai agar dil lagata hai kyun
dur rah kar bhi jab tu mere pas hai
tujh ko pane ko dil phir machalta hai kyun
wo juda kya hue zindagi bhi gai
aansuon ki jagah KHun bahata hai kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.