ai mere dil ki raushni to yunhi jagmagae ja
ai mire dil kī raushnī to yūñhī jagmagā.e jā
mere jahān-e-shauq par kaif ban ke chhā.e jā
maiñ usī tarah se rahūñ mahv-e-nazāra-e-jamāl
āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar tū yūñhī muskurā.e jā
terī nazar kā hai ḳhumār kahte haiñ jis ko duḳht-e-raz
dil kī havas kā vāsta mast nazar pilā.e jā
mere tasavvurāt meñ mere taḳhayyulāt meñ
ai merī jān-e-ārzū jalva-ba-jalva aa.e jā
tujh se nigāh milte hī dil se to haath dho chuke
ab hai faqat ye aarzū jaan se bhī miTā.e jā
ai mere dil ki raushni to yunhi jagmagae ja
mere jahan-e-shauq par kaif ban ke chhae ja
main usi tarah se rahun mahw-e-nazara-e-jamal
aankhon mein aankhen Dal kar tu yunhi muskurae ja
teri nazar ka hai KHumar kahte hain jis ko duKHt-e-raz
dil ki hawas ka wasta mast nazar pilae ja
mere tasawwuraat mein mere taKHayyulat mein
ai meri jaan-e-arzu jalwa-ba-jalwa aae ja
tujh se nigah milte hi dil se to hath dho chuke
ab hai faqat ye aarzu jaan se bhi miTae ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.