ai mere dil tujhe pata hai kya
ai mire dil tujhe pata hai kyā
vo tire ġham se āshnā hai kyā
mujh meñ mātam kā shor kaisā hai
mere andar koī mirā hai kyā
sab se hañs ke gale jo miltā hai
shahr meñ vo nayā nayā hai kyā
zindagī dho ke roz piitā huuñ
aur piine ko kuchh bachā hai kyā
qissa-e-dil raqam karūñ kaise
ishq hai koī sāneha hai kyā
phal koī haath kyuuñ nahīñ aatā
qad meñ mujh se shajar baḌā hai kyā
tujh meñ uljhā huā maiñ rahtā huuñ
tū batā merā mas.ala hai kyā
kyuuñ mujhe DhūñDhtī hai purvā.ī
mere zaḳhmoñ se vāsta hai kyā
mujh ko jhūTā batā rahā hai jo
mere andar kā aa.ina hai kyā
kaun detā hai dastakeñ itnī
gum-shuda koī hādisa hai kyā
kaise ḳhurshīd us ko badloge
zindagī koī qāfiya hai kyā
ai mere dil tujhe pata hai kya
wo tere gham se aashna hai kya
mujh mein matam ka shor kaisa hai
mere andar koi mera hai kya
sab se hans ke gale jo milta hai
shahr mein wo naya naya hai kya
zindagi dho ke roz pita hun
aur pine ko kuchh bacha hai kya
qissa-e-dil raqam karun kaise
ishq hai koi saneha hai kya
phal koi hath kyun nahin aata
qad mein mujh se shajar baDa hai kya
tujh mein uljha hua main rahta hun
tu bata mera masala hai kya
kyun mujhe DhunDhti hai purwai
mere zaKHmon se wasta hai kya
mujh ko jhuTa bata raha hai jo
mere andar ka aaina hai kya
kaun deta hai dastaken itni
gum-shuda koi hadisa hai kya
kaise KHurshid us ko badloge
zindagi koi qafiya hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.