ai mere dost mere dushman-e-jaan KHair to hai
ai mire dost mire dushman-e-jāñ ḳhair to hai
tū mire paas mire saath yahāñ ḳhair to hai
ḳhat diyā thā unheñ patthar nahīñ aayā ab tak
dil ko tashvīsh huī hai ki vahāñ ḳhair to hai
baat qasdan unheñ aadhī sī sunā.ī maiñ ne
ab vo pūchheñge ki kab kaun kahāñ ḳhair to hai
bach ke ik aur dhamāke se kiyā phone unheñ
yaañ pe sab ḳhair hai sab ḳhair vahāñ ḳhair to hai
ḳhair hī ḳhair lage mujh ko ba-zāhir to magar
pūchh letī huuñ muravvat meñ ki haañ ḳhair to hai
ai mere dost mere dushman-e-jaan KHair to hai
tu mere pas mere sath yahan KHair to hai
KHat diya tha unhen patthar nahin aaya ab tak
dil ko tashwish hui hai ki wahan KHair to hai
baat qasdan unhen aadhi si sunai main ne
ab wo puchhenge ki kab kaun kahan KHair to hai
bach ke ek aur dhamake se kiya phone unhen
yan pe sab KHair hai sab KHair wahan KHair to hai
KHair hi KHair lage mujh ko ba-zahir to magar
puchh leti hun murawwat mein ki han KHair to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.