ai mere mah-ru teri chasm-e-sitara-san ke baad
ai mire māh-rū tirī chasm-e-sitāra-sāñ ke baad
chāñd kī diid kyā kareñ rūyat-e-kahkashāñ ke baad
band-e-qabā-e-ārzū kholiye kis ke vāste
daur-e-subū kā lutf kyā ruḳhsat-e-mai-kashāñ ke baad
kiije firāq se visāl kohna sarā-e-ishq meñ
nazr guzāriye koī aur bhī naqd-e-jāñ ke baad
ai mire dil dhaḌak na yuuñ TuuT na jaa.e ye fusūñ
bhed bhare haiñ rāste jāda-e-āsmāñ ke baa'd
vo jo sunahrī dhund sī dekhte ho sar-e-ufuq
tum se mileñge ham vahīñ arsa-e-jism-o-jāñ ke baad
chāhat-e-rā.egāñ talak tujh ko na yaad aa.eñ ham
ā.eñge yaad ham tujhe hāsil-e-rā.egāñ ke ba.ad
shab ke sunahrī jaam meñ terī shabīh dekhte
khultā agar vo mai-kada raqs-e-sitār-gāñ ke baad
ai mere mah-ru teri chasm-e-sitara-san ke baad
chand ki did kya karen ruyat-e-kahkashan ke baad
band-e-qaba-e-arzu kholiye kis ke waste
daur-e-subu ka lutf kya ruKHsat-e-mai-kashan ke baad
kije firaq se visal kohna sara-e-ishq mein
nazr guzariye koi aur bhi naqd-e-jaan ke baad
ai mere dil dhaDak na yun TuT na jae ye fusun
bhed bhare hain raste jada-e-asman ke ba'd
wo jo sunahri dhund si dekhte ho sar-e-ufuq
tum se milenge hum wahin arsa-e-jism-o-jaan ke baad
chahat-e-raegan talak tujh ko na yaad aaen hum
aaenge yaad hum tujhe hasil-e-raegan ke baad
shab ke sunahri jam mein teri shabih dekhte
khulta agar wo mai-kada raqs-e-sitar-gan ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.