ai mere yar waqt lagta hai
ai mire yaar vaqt lagtā hai
pyaar hai pyaar vaqt lagtā hai
pyaar meñ sabr bhī zarūrī hai
hogā iz.hār vaqt lagtā hai
dil meñ aise jagah nahīñ miltī
mere sarkār vaqt lagtā hai
rañg apnā dikhā.eñge ik din
gul hoñ yā ḳhaar vaqt lagtā hai
un kī zulfoñ ke jaal meñ mujrim
ho giraftār vaqt lagtā hai
tere pīchhe chalegā ḳhush ho kar
saarā sansār vaqt lagtā hai
pārsā aise kaise ho jaa.e
ik gunahgār vaqt lagtā hai
mujh se milne ko mere ḳhvāboñ meñ
tujh ko har baar vaqt lagtā hai
log jis kī misāl dete raheñ
ho vo kirdār vaqt lagtā hai
kyā huā kyoñ ulajh ga.e 'kāshif'
hoñge ash.ār vaqt lagtā hai
ai mere yar waqt lagta hai
pyar hai pyar waqt lagta hai
pyar mein sabr bhi zaruri hai
hoga izhaar waqt lagta hai
dil mein aise jagah nahin milti
mere sarkar waqt lagta hai
rang apna dikhaenge ek din
gul hon ya KHar waqt lagta hai
un ki zulfon ke jal mein mujrim
ho giraftar waqt lagta hai
tere pichhe chalega KHush ho kar
sara sansar waqt lagta hai
parsa aise kaise ho jae
ek gunahgar waqt lagta hai
mujh se milne ko mere KHwabon mein
tujh ko har bar waqt lagta hai
log jis ki misal dete rahen
ho wo kirdar waqt lagta hai
kya hua kyon ulajh gae 'kashif'
honge ashaar waqt lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.