ai meri jaan tujhe aur badalna hoga
ai mirī jaan tujhe aur badalnā hogā
phir mire saath kaḌī dhuup meñ chalnā hogā
apne pairoñ pe abhī qarz-e-safar baaqī hai
hadd-e-imkān se aage bhī nikalnā hogā
is se pahle ki Dhale raat nayā din nikle
tire ḳhvāboñ ko mire ḳhvāb meñ Dhalnā hogā
inqilābāt kā āġhāz bhī hogā lekin
le ke parcham sar-e-bāzār nikalnā hogā
kāmyābī kā yaqīñ duur na kar de ham ko
paas manzil ke zarā aur sambhalnā hogā
vādiyoñ meñ to kisī ḳhvāb kī bhaTke hai 'faroġh'
tujh ko ta.abīr ke sahrā meñ bhī jalnā hogā
ai meri jaan tujhe aur badalna hoga
phir mere sath kaDi dhup mein chalna hoga
apne pairon pe abhi qarz-e-safar baqi hai
hadd-e-imkan se aage bhi nikalna hoga
is se pahle ki Dhale raat naya din nikle
tere KHwabon ko mere KHwab mein Dhalna hoga
inqilabaat ka aaghaz bhi hoga lekin
le ke parcham sar-e-bazar nikalna hoga
kaamyabi ka yaqin dur na kar de hum ko
pas manzil ke zara aur sambhalna hoga
wadiyon mein to kisi KHwab ki bhaTke hai 'farogh'
tujh ko tabir ke sahra mein bhi jalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.