ai mohabbat tera asar hai kuchh
ai mohabbat tirā asar hai kuchh
dekhne vaalo kī nazar hai kuchh
hai yaqīn o gumāñ ajab duniyā
kuchh nahīñ hai yahāñ magar hai kuchh
ye na kahiye ki 'ishq kuchh bhī nahīñ
dekhiye dil kī shāḳh par hai kuchh
kuchh nahīñ hai jidhar ḳhirad ke liye
ahl-e-dil ke liye udhar hai kuchh
zindagī kā agar shu'ūr nahīñ
phir batāo ye māl-o-zar hai kuchh
kuchh banā kar zamīñ pe bhejā gayā
haañ magar fitrat-e-bashar hai kuchh
mujh pe kahne ko kuchh nahīñ 'sonam'
aap kah dījiye agar hai kuchh
ai mohabbat tera asar hai kuchh
dekhne walo ki nazar hai kuchh
hai yaqin o guman ajab duniya
kuchh nahin hai yahan magar hai kuchh
ye na kahiye ki 'ishq kuchh bhi nahin
dekhiye dil ki shaKH par hai kuchh
kuchh nahin hai jidhar KHirad ke liye
ahl-e-dil ke liye udhar hai kuchh
zindagi ka agar shu'ur nahin
phir batao ye mal-o-zar hai kuchh
kuchh bana kar zamin pe bheja gaya
han magar fitrat-e-bashar hai kuchh
mujh pe kahne ko kuchh nahin 'sonam'
aap kah dijiye agar hai kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.