ai musafir mera kahna yaad rakh
ai musāfir merā kahnā yaad rakh
luT na jaa.e shahr-e-dil ābād rakh
soch ko ehsās par ġhālib na kar
zindagī ko ḳhauf se āzād rakh
zindagī kī chāhateñ ra.anā.iyāñ
tū hamesha apne dil ko shaad rakh
zulm kā byopār chal saktā nahīñ
dhyān itnā ai sitam-ījād rakh
Dhang aa jā.egā jiine kā tujhe
Dūbte sūraj kā manzar yaad rakh
maiñ badal dūñgā zamāne kā mizāj
pahle tū sachchā.ī kī buniyād rakh
ai musafir mera kahna yaad rakh
luT na jae shahr-e-dil aabaad rakh
soch ko ehsas par ghaalib na kar
zindagi ko KHauf se aazad rakh
zindagi ki chahaten ranaiyan
tu hamesha apne dil ko shad rakh
zulm ka byopar chal sakta nahin
dhyan itna ai sitam-ijad rakh
Dhang aa jaega jine ka tujhe
Dubte suraj ka manzar yaad rakh
main badal dunga zamane ka mizaj
pahle tu sachchai ki buniyaad rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.